बाप और बेटी
ladakiyon ke school mein aane vaali nayi techar behad khubsoorat thi lekin unhone abhi tak sadi nahi ki thi Beti To Baap Ke Liye Rahamat Hoti Hai
sab ladkiyaan unke ass pass jama ho gayi aur mazaak karne lagi
ki medam apne abhi tak shadi kyon nahi ki…?
medam ne dastan kuch yu shuru ki
ek mahila ki 5 betiya thi, pati ne usko dhamki di ki agar is baar bhi beti hui to us beti ko bahar kisi sadak ya chauk par phenk aunga,
chhati baar bhi beti hi paida hui aur pati ne beti ko uthaya aur raat ke andhere mein shahar ke bicho-beech chauk par rakh aaya, maa puri raat us nanhi si jaan ke liye dua karti rahi.
dusre din subah pita jab chauk se guzra to dekha ki koi bachchi ko nahi le gaya hai,
baap beti ko vapas ghar laya lekin dusari raat phir beti ko chauk par rakh aaya lekin roz yahi hota raha,
har baar pita bahar rakh aata aur jab koi lekar nahi jaata to majaburan vapas utha lata, yaha tak ki uska pita thak gaya aur khuda ki marzi par raazi ho gaya.
phir ek saal baad maa phir praignant ho gayi aur is baar usko beta hua, lekin kuch hi din baad 6 betiyo mein se ek ki maut ho gyi,
yaha tak ki maa 5 baar praignant huyi aur paanch bete huye lekin har baar uski betiyon mein se ek is duniya se chali jati .
srif ek hi betee zinda bachi aur wo bahi beti thi jisse baap jaan chhudana chaah raha tha, maa bhi is duniya se chali gayi idhar 5 bete aur ek beti sab bade ho gye.
teechar ne kaha- pata hai vo beti jo zinda rahi kaun hai wo main hu aur mene abhi tak shadi isliye nahi ki,
ki mere pita itne budhe ho gaye hain ki apane haath se khana bhi nahi kha sakate aur koi dusara nahi jo unaki seva kare.
bas main hi unki khidamat kiya karti hu aur vo 5 bete kabhi-kabhi aakar pita ka haal-chaal puchh jaate hain.
pita hamesha sharmindgi ke saath ro-ro kar mujh se kaha karate hain, meri pyaari beti jo kuch main bachpan mein tere saath kiya usake liye mujhe maaf karana.
mene kahi beti ki baap se muhabbat ke baare main ek pyara sa kissa padha tha ki ek pita bete ke saath football khel raha tha aur beti ka hausla badhane ke liye jaan boojh kar haar raha tha.
door baithi beti baap ki haar bardaasht na kar saki aur baap ke saath lipat ke rote huye boli baba aap mere saath khele, taaki main apaki jeet ke liye haar saku .
sach hi kaha jaata hai ki beti to baap ke liye rahamat hoti hai…
ये भी पढ़े !!
Biography of Rani Laxmi-Bai in Hindi
प्रधानमन्त्री श्री नरेन्द्र मोदी नारे एवं उद्धरण
माँ और पत्नी देखे कौन बड़ा Hindi Story
सेठ और साधू की कहानी आखे खुल जाएगी
13 फिल्मों के ऐसे डायलॉग जो आपको कहीं हिम्मत नहीं हारने देंगे