माँ और पत्नी किसका प्यार बड़ा!!
Patni baar baar maa par ilzaam lagaye ja rahi thi, aur pati baar baar usko apni had me rahne ki kah raha tha lekin patni chup hone ka naam nahi le rahi thi wo jor jor se cheekh cheekh ke kah rahi thi ki usne anguthi teble par hi rakhi thi aur tumare aur mere alawa is kamre me koi nahi aaya anguthi ho na ho maa ne hi uthayi hai.
Baat jab pati se bardast nahi hui to usne patni ke gaal pe ek jordaar tamacha de maara abhi teen mahine pahle hi to sadi hui thi.
Patni se tamacha sahan nahi hua bah ghar chhodkar jane lagi aur jaate jaate pati se ek sawal puchha ki,
tumko apni maa par itna viswas kyu hai ??
Tab pati ne jawab diya us jawab ko sunkar darwaze ke peeche khadi maa ka man bhar aaya,
Pati ne patni ko bataya ki jab bah chhota tha tab pita ji gujar gye Maa moholle ke gharo me jhadu pocha lagakar jo kama pati thi usse ek waqt ka khana aata tha ,
Maa ek thali me mujhe paros deti thi aur khali dibbe ko dhakkar rakh deti thi AUR,
Kahti thi meri rotiya is dibbe me hai beta tu kha le,
Me bhi adhi roti khakar kah deta tha ki maa mera pet bhar gya hai mujhe aur nahi khana hai.
Maa ne mujhe meri jhuthi roti khakar mujhe pala posa aur bada kiya hai,
Aaj me 2 roti kamane layak hu, Lekin yah kaise bhool sakta hu ki, Maa ne umra ke us padao par apni ikchhao ko maara hai,
Bah Maa is umra me kisi anguthi ki bhookhi hogi, me yah soch bhi nahi sakta hu,
Tum to 3 mahine se mere sath ho mene Maa ki tapsya ko pichle 25 varsho se dekha hai.
Yah sunkar Maa ki ankho me aansu chalak uthe. wah samjh nahi pa rahi thi ki Beta uski aadhi roti ka karz chuka raha hai ya bah bete ki adhi roti ka karz.
Sayad jo kahna chahta tha wo aap samjh gye.